Thursday, December 15, 2011

Bachchon ka doodh - Dinkar

dont remember the entire poem and could not find anywhere. With my memory I could capture few lines from Dinkar's heart touching poem:

jeth ho ki ho poos, humaare krishakon ko aaraam nahin hai
chhothe kabhi sung bailon ka, aisa koi yaam nahin hai

mukh mein jeebh, shakti bhuj mein jeevan mein sukh ka naam nahin hai
vasan kahaan? sookhi roti bhi milti donon shaam nahin hai

bailon ke yeh bandhu varsha bhar kya jaane kaise jeete hain
bandhi jeebh, aankhe vishann gum khaa shayad aanso peete hain

par shishu ka kya, seekh na paaya abhi jo aansoo peena
choos choos sukha stan maa ka, so jaata ro vilap nagina

vivash dekhti ma, anchal se nanhi jaan tarap ur jaati
apna rakt pila deti yadi phatati aaj vajra ki chhati

kabra kabra mein abudh baalakon ki bhookhi haddi roti hai
"doodh doodh" ki kadam kadam par saari raat sada hoti hai

"doodh doodh" o vats! mandiron mein bahre paashaan yahaan hain
"doodh doodh" taare bolo in bachhon ke bhagwaan kahaan hain

"doodh doodh" ganga tu hi apani pani ko doodh bana de
"doodh doodh" uf koi hai to in bhookhe murdon ko jara mana de

"doodh doodh" duniya soti hai, laaoon doodh kahaan kis ghar se
"doodh doodh" he dev gagan ke, kuchh boond tapka ambar se

haton vyon mein se megh panth se swarg lootane hum aate hain
"doodh doodh" ae vats tumhara doodh khojane hum jate hain